Tuesday, 26 May 2015

YAJEED

YAZEED PALEED MALOON
(L.A)
Yazeed Lanti Hai Ahadith Aur Tareekh Ki
Roshni Mein Dekhte Hain
ﺁﺋﯿﮯ ﺁﺝ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﯾﺰﯾﺪ ﺟﻨﺘﯽ ﮨﮯ ﯾﺎ ﺟﮩﻨﻤﯽ
ﮨﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﯿﺎ ﺍﺳﮑﻮ ﺭﺣﯿﻢ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮩﻨﺎ ﺟﺎﺋﺰ ﮨﮯ ﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ۔
ﺁﺝ ﺍﺣﺎﺩﯾﺚ ﺍﻭﺭ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﮐﯽ ﺭﻭﺷﻨﯽ ﻣﯿﮟ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ
AAEYE AAJ DEKHTE HAIN YAZEED JANNATI
HAI YA JAHANMI HAI? AUR DEKHTE HAIN
KE YAZEED KO RAHEEMULLAH KEHNA JAIZ
HAI YA NA'JAIZ HAI?
SAB SE PEHLE WO HADEES DEKHTE HAIN
JIS MEIN LASHKAR KA ZIKAR AYA HAI. YE
NICHAY HADEES HAI. SAB PARHAIN TA KE
PATA CHALE KE ZAKIR NAIK KAISE HADEES
KO GHALAT TAREEKAY SE BAYAN KER RAHA
HAI.
ﺳﺐ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﻭﮦ ﺣﺪﯾﺚ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﺟﺲ ﻣﯿﮟ
ﺳﺐ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ ﻟﺸﮑﺮ ﮐﺎ ﺫﮐﺮ ﺁﯾﺎ ﮨﮯ۔ ﻧﯿﭽﮯ ﺣﺪﯾﺚ
ﮐﯽ ﮨﮯ ﭘﮍﮬﯿﮟ ﺗﺎﮐﮧ ﺁﭘﮑﻮ ﭘﺘﮧ ﭼﻠﮯ ﮐﮯ ﺯﺍﮐﺮ ﻧﺎﺋﯿﮏ
ﮐﯿﺴﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮯ ﻧﺒﯽ ﭘﺮ ﺟﮭﻮﭦ ﺑﺎﻧﺪﮪ ﺭﮨﺎ ﮨﮯ۔
" Meri Umat Ka Phela Laskr Jo Qaiser Ke
Shaher Mein Jung Kare Ga Un Ke Liye
Magfirat Hai "
Hadees.
Ham se is'haaq bin yazeed
damishqi ne bayan kiya, kaha ham se yahya
bin  hamza ne bayan kiya, kaha ke mujh se
"THAUR BIN YAZEED" ne bayan kiya, un se
Khalid bin mah'dan ne aur un se umair bin
aswad ansi ne bayan kiya ke wo ebada bin
saamet radi Allah anho ki khidmat mein
hazir hoey. Aap ka qayam sahil hams per
apne he aik makan per tha. Aur aap ke sath
(aap ki biwi) ummay haraam radi Allah anha
bhi thien. Umair ne bayan kiya ke ham se
ummay haraam radi Allah anha ne bayan
kiya ke mein ne Nabi Kareem Sallallahu
Alaihe Wasallam se suna hai,
Aap Sallallahu alaihe wasallam ne farmaya
tha ke:
"Meri Ummat ka sab se Pehla lashkar jo
daryai safar ker ke jahaad ke liye jaeyga, us
ne (apne liye Allah ki rahmat o maghfirat)
wajib ker li. Ummay haraam radi Allah anha
ne bayan kiya ke mein ne kaha tha Ya
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam!
Kiya mein bhi un ke sath hoongi?
Aap Sallallahu Alaihe
Wasallam ne farmaya ke haan tum bhi un ke
sath hogi. Phir Nabi kareem Sallallahu
Alaihe Wasallam ne farmaya  "sab se pehla
lashkar meri ummat ka jo qaisar ke sheher
per hamla krayga unki maghfirat hogi.
Mein ne kaha mein bhi un ke
sath hoongi Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihe
Wasallam!
Aap Sallallahu Alaihe
Wasallam ne farmaya ke Nahe.
Sahih Bukhari, vol 4. page 345, Hadees
2924.
ﺣﺪﯾﺚ ﮐﮯ ﺻﺤﯿﺢ ﮨﻮﻧﮯ ﭘﺮ ﺍﻋﺘﺮﺍﺿﺎﺕ
Some objection on  correctness of hadees
This objection made by Maulana is'haq
1: Is hadees ki ravi sirf ummay haram binte
melhaan hain, kisi doosry sahabi ne
issay rawayat nhe kiya?
2: Is hadees ko bayan kerne wale saray
shaami hain baqi makkah, madina aur
iraq ka koi bhi ravi nhe hai is hadees mein.
3: Thaur bin yazeed al karahi jab madina
mein aya to imam malik      ne kaha koi is k
pass na baithay aur na is se rawayat
likhhay.
4: Asool e hadees hai ke koi admi koi aisi
hadees rawayat kray aur us admi ka
talluk kisi khas groh se ho aur uske ilawa koi
aur na bayan kray to us ki rawayat sahih
nhe mani jaeygi kion ke shuba hai
ke us ne apne maslak ya aqeeday ki
hamaiyat ki ho.
5: Is hadees mein sabi naasbi hain.
ﺛﻮﺭ ﺑﻦ ﯾﺰﯾﺪ ﮐﮯ‏(ﺑﺎﭖ /ﺩﺍﺩﺍ‏) ﺟﻨﮓ ﺻﻔﯿﻦ ﻣﯿﮟ ﺣﻀﺮﺕ
ﺍﻣﯿﺮ ﻣﻌﺎﻭﯾﮧ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﮧ ﺳﺎﺗﮫ ﺗﮭﮯ ﺍﻭﺭ
ﺣﻀﺮﺕ ﻋﻠﯽ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﮯ ﻟﺸﮑﺮ ﮐﮯ
ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﻗﺘﻞ ﮨﻮﺋﮯ
۔Thaur bin yazeed ke (baap/dada) jung e
safeen mein hazrat ameer Muawiya radi
Allah anho ke sath thy aur Hazrat Ali radi
Allah anho ke lashkar ke hathoon qatal hoey
ﺛﻮﺭ ﺑﻦ ﯾﺰﯾﺪ ﺣﻀﺮﺕ ﻋﻠﯽ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻨﮧ ﮐﮯ ﺑﺎﺭﮮ
ﻣﯿﮟ ﻧﺎﻡ ﻟﯿﮑﺮ ﮐﮩﺎﮐﮧ:
"ﻣﯿﮟ ﺍﯾﺴﮯ ﺷﺨﺺ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺗﺎ ﺟﺲ ﻧﮯ
ﻣﯿﺮﮮ ‏(ﺑﺎﭖ/ﺩﺍﺩﺍ ‏) ﮐﻮ ﻗﺘﻞ ﮐﯿﺎ۔
‏( ﻃﺒﻘﺎﺕ ﺳﻌﺪ،ﺝ 7 ، ﺍﻭﺭ ﺍﺑﻦ ﺣﺠﺮ، ﺗﻘﺮﯾﺐ ﺍﻟﺘﺪﮬﯿﺐ،
ﺭﺍﻭﯼ ﻧﻤﺒﺮ 1057 ،ﺝ 2 )
thaur bin yazeed Hazrat Ali radi Allah anho
ke baray mein naam le ker kaha ke "mein
aise shakhs se mohabbat nhe kerta jis ne
mere (baap/dada) ko qatal kiya.
(tabqaat ibn sa'ad vol 7,,, ibn e hajar, taqrib
al,tahdheeb,
Rawi no 1057, vol 2.) Hazrat Ali aur Hazrat
Ameer Muawiya radi Allah anhum ki aik
dosry se jungain hoi aur thaur bin yazeed
Hazrat Ameer Muawiya ki army mein thy. To
phir jab dushmani ho to Insan kisi ki barrai
bhi ker sakta hai dushman ko giranay k
liye..WALLAHU AALAM
ﺣﻀﻮﺭ ﺻﻠّﯽ ﺍﻟﻠّﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺁﻟﮧ ﻭﺳﻠّﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎﮐﮧ
"ﮐﻮﺋﯽ ﻣﻨﺎﻓﻖ ﻋﻠﯽ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ
ﻧﮩﯿﮟ ﮐﺮﺳﮑﺘﺎ ﺍﻭﺭ ﮐﻮﺋﯽ ﻣﺆﻣﻦ ﻋﻠﯽ ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻨﮧ
ﺳﮯ ﺑﻐﺾ ﻧﮩﯿﮟ ﺭﮐﮫ ﺳﮑﺘﺎ۔ ‏(ﺟﺎﻣﻊ ﺗﺮﻣﺬﯼ، 213/4 )
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ka
irshaad e Mubarak hai ke:
"Koi munafiq Ali Radi Allah Anho se
mohabbat nhe ker sakta aur koi mo'min ali
radi Allah anho se bughaz nhe rakh sakta.
(jamiya trimzi 213/4)
ﺟﺲ ﻧﮯ ﻋﻠﯽ ﺳﮯ ﺑﻐﺾ ﺭﮐﮭﺎ ﺍﺱ ﻧﮯ ﻣﺠﮫ ‏(ﻣﺤﻤﺪ
ﺻﻠّﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠّﻢ ‏) ﺳﮯ ﺑﻐﺾ ﺭﮐﮭﺎ ﺍﻭﺭ ﺟﺲ ﻧﮯ
ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﺑﻐﺾ ﺭﮐﮭﺎ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﺳﮯ ﺑﻐﺾ ﺭﮐﮭﺎ۔
ﯾﮧ ﺣﺪﯾﺚ ﮐﺎ ﺁﺧﺮﯼ ﺣﺼﮧ ﺗﮭﺎ۔ ﻣﺠﻤﻊ ﺍﻟﺰﻭﺍﺋﺪ، 109/9
Jis ne Ali se bughaz rakha us ne mujh
(Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam) se
bughaz rakhha aur jis ne mujh se bughaz
rakha us ne Allah se bughaz rakhha.
Ye hadees ka akhri hissa tha…
majmuaz'zawaiyd. 109/9
Aisi he hadees ibn majah, nisai shareef,
sahih muslim, abu dawood mein bayan hoi
hai lakin kisi bhi hadees mein pehle lashkar
ya us lashkar ki maghfirat ki basharat nhe
sunai gai jo qaiser ke sheher per hamla kray
ga.
Jab ke aisi he ahadees dosray raviyoun se
sahih bukhari mein bayan ki gai hai us mein
bhi kisi basharat ka zikar nhe aya hai
Sahih Bukhari, Vol 4, Page 327, Hadees
2894, 2895
In books mein bhi basharat ka koi zikar nhe
aya hai
Reference available is here:
1: Sunnan Abu Dawood, Vol 2, Page
295,496,497
Hadees 718.719,720.
2: Sunnann Nisa'I, Vol 2, Page 967,969,
Hadees 1083,1084
3: Sahih Muslim, Vol 3, Page
340,342,343,344
Hadees 437,438,439,440
4: Sunnan Ibn Majah Vol 2, Page 728,
Hadees 933
Sab se pehle lashkar mein kaun tha aaeye
Tareekh parhte hain
YAZEED SAB SE PEHLE LASHKAR MEIN TO
NHE THA
Qaisar ka sheher koi bhi ho sakta hai.
Missal ke tor per qabras, rome qustuntuniya
ye sab qaisar ki badshahi mein ate thy. Is
mein kisi khaas sheher ki taraf ishara nhe
kiya gia balke qaisar ke sheher per hamla
kerne ka farmaya gia. Jaise 27 hijri mein
ameer muawiya radi Allah anho ne qaisar ke
sheher qabras per behri hamla kiya. Ab
aaeen dekhte hain qaisar ke sheher per
hamlay hone ki Tareekh
ﺍﺏ ﺁﺋﻴﮯ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﻗﯿﺼﺮ ﮐﮯ ﺷﮩﺮ ﭘﺮ ﺣﻤﻠﮯ
ﮐﺲ ﮐﺲ ﻧﮯ ﺍﻭﺭ ﮐﺲ ﮐﺲ ﺳﻦ ﮨﺠﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﮐﺌﮯ۔ ﺳﺐ
ﺳﮯ ﭘﮩﻼ ﺣﻤﻠﮧ ﺍﻣﯿﺮ ﻣﻌﺎﻭﯾﮧ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﻧﮯ
27 ﮨﺠﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﮐﯿﺎ، ﺍﻭﺭ ﺩﻭﺳﺮﺍ ﺣﻤﻠﮧ ﺟﺲ ﻣﯿﮟ ﻟﺸﮑﺮ
ﻗﺴﻄﻨﻄﻨﯿﮧ ﺗﮏ ﭘﮩﻨﭻ ﮔﯿﺎ ﻭﮦ 42 ﮨﺠﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﺎ۔
ﭘﻠﯿﺰ ﻏﻮﺭ ﺳﮯ ﭘﮍﮬﯿﮯﮔﺎ ﺳﻦ ﮨﺠﺮﯼ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﻣﯿﮟ
ﺷﺮﮐﺖ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻟﻮﮒ :
Ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya42
ﺍﺱ ﺳﺎﻝ ﻣﺴﻠﻤﺎﻧﻮﮞ ﻧﮯ ﻻﻥ ﺍﻭﺭ ﺭﻭﻡ ﺳﮯ ﺟﮩﺎﺩ ﮐﯿﺎ
Is saal musalmanoon ne laan aur rome se
jehad kiya aur unko shikast fash di. Aur
batreekoon ki aik jamat ko qatal kiya gia.
Tareekh tabri vol 4 page 32 .
ﺍﺱ ﺳﺎﻝ ﻣﺴﻠﻤﺎﻧﻮﮞ ﻧﮯ ﻻﺋﻨﻮﮞ ﺍﻭﺭ ﺭﻭﻣﯿﻮﮞ ﺳﮯ
ﺟﮩﺎﺩ ﮐﯿﺎ
Is saal musalmanoon ne lynoon aur romeon
se jung ki aur un ke amra aur generals mein
se bahut se admiyoun ko qatal ker diya gia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8 page 37
43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla
kiya.
ﺍﺱ ﺳﺎﻝ ﻣﯿﮟ ﺑﺴﺮ ﺑﻦ ﺍﺭﻃﺎﻁ ﻧﮯ ﺑﻼﺩ ﺭﻭﻡ ﺳﮯ ﺟﻨﮓ
ﮐﯽ ﺣﺘﯽ ﮐﮧ ﻗﺴﻄﻨﻄﻨﯿﮧ ﮐﮯ ﺷﮩﺮ ﺗﮏ ﭘﮩﻨﭻ ﮔﯿﺎ
Is saal mein busar bin artaat ne bilad e rome
se jung ki hatta ke qustuntunia ke sheher tak
pohanch gia. Aur waqdi ke khyal mein
mausam e sarma un ke mulk mein guzara.
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan.nahaya, vol
8, page 37.
43 ad mein bilad e rome pr kis ne hamla
kiya.
ﻭﺍﻗﺪﯼ ﮐﮯ ﺯﻋﻢ ﻣﯿﮟ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺑﺴﺮ ﺑﻦ ﺍﺭﻃﺎﻁ ﻧﮯ ﺍﺱ
ﺳﺎﻝ ﺭﻭﻡ ﺳﮯ ﺟﻨﮓ ﮐﯽ ﺍﻭﺭ ﺍﺳﯽ ﺳﺎﻝ ﺳﺮﺯﻣﯿﻦ
ﭘﺮﺟﮭﺎﮌﻭﮞ ﮐﯽ ﻓﺼﻞ ﮔﺬﺍﺭﺩﯼ ﺍﻭﺭ ﻗﺴﻄﻨﻄﻨﯿﮧ ﺗﮏ
ﭘﮩﻨﭻ ﮔﯿﺎ۔
Waqdi ka zaham hai ke busar bin artaat ne
is saal  rome se jung ki aur issi sar'zameen
per jharroon ki fasal guzar di aur
Qustuntunia tak ponch gia.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 39.
ﺩﻭﺳﺘﻮ! ﭘﺘﮧ ﭼﻼﮐﮧ ﭘﮩﻼ ﻟﺸﮑﺮ ﺍﻣﯿﺮ ﻣﻌﺎﻭﯾﮧ ﮐﮯ ﺑﻌﺪ
ﺟﻮ ﺭﻭﻣﯿﻮﮞ ﻣﻄﻠﺐ ﻗﯿﺼﺮﮐﮯ ﺷﮩﺮ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﺳﮯ ﻟﮍﻧﮯ
ﮔﯿﺎ ﻭﮦ 42 ﮨﺠﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﺗﮭﺎ۔ ﺍﻭﺭ ﺍﮔﺮ ﻗﯿﺼﺮ ﮐﺎ
ﺷﮩﺮﻗﺴﻄﻨﻄﻨﯿﮧ ﮨﯽ ﻟﯿﻨﺎ ﻣﺮﺍﺩ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﻃﺒﺮﯼ ﺍﻭﺭ
ﺗﺎﺭﯾﺦ ﺍﺑﻦ ﮐﺜﯿﺮ ﺍﻟﺒﺪﺍﯾﮧ ﻭﻟﻨﮩﺎﯾﮧ ﮐﮯ ﻣﻄﺎﺑﻖ ﺑﺴﺮ ﺑﻦ
ﺍﺭﻃﺎﻁ 43 ﮨﺠﺮﯼ ﻣﯿﮟ ﻗﯿﺼﺮ ﮐﮯ ﺷﮩﺮ ﻗﺴﻄﻨﻄﻨﯿﮧ
ﻣﯿﮟ ﭘﮩﻨﭻ ﮔﮱ ﺗﮭﮯ۔ ﺗﻮ ﺍﺱ ﮐﺎ ﻣﻄﻠﺐ ﮨﻮﺍ ﮐﮧ ﺑﺴﺮ ﺑﻦ
ﺍﺭﻃﺎﻁ ﻭﺍﻻ ﻟﺸﮑﺮ ﺟﻨّﺘﯽ ﮨﮯ۔
Dosto! Pata chala ke pehla lashkar ameer
muawiya radi Allah anho ke ba'd jo romeon
matlab qaisar ke sheher waloon se larrne gia
wo 42 hijri mein tha. Aur ager qaisar ka
sheher qustuntunia he murad lena hai to
Tareekh tabri aur Tareekh ibn katheer ke
mutabik basar bin artaat 43 hjiri mein qaisar
ke sheher qustuntuniya mein pohanch gaey
the. To is ka matlab hua ke busar bin artaat
wala lashkar jannati hai.
44 ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya?
Is saal mein abdur rahman bin Khalid bin
walid radi Allah anho ne bilad e rome ke
sath jung ki aur musalman bhi aap ke sath
the. Aur unhoon ne mausam e sarma wohi
guzara. Aur issi mein busar bin abi artaat ne
samunder mein jung ki
Tareekh ibn kathir, al.bidaya wan,nahaya vol
8, page 42
Is saal abdur rahman bin waleed ke sath
musalman bilaad e rome mein dakhil hoey
aur sardiyoun ka mausam wohi guzara aur
basar bin artaat ne darya mein jung ki.
Tareekh Tabri Volume 4, Page 62
45 ad mein kahan hamla hua.
Is saal ziyaad ke khurasani naib al.hukam
bin umroo ne ziyad ke hukam se jabal-al-
asal se jung ki aur un mein se bahut se
logoon ko qatal kiya aur bahut se amwaal
maal e ghanimat mein hasil kiye.
Al.bidaya wa.nahay vol 8, page 45.
is saal abdur rahman bin Khalid radi Allah
anho rome mein sardiyaan guzari.
Tareekh Tabri, Vol 4, Page 70
46 ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya?
Is saal musalmanoon ne apne ameer Hazrat
abdur rahman bin Khalid bin walid radi Allah
anho ke sath bilad e rome mein guzara. Aur
baz ka qol hai ke unka ameer koi aur shakhs
tha.
Al.badaya wan.nahaya vol 8, page 46
Is saal maalik bin ubaidallah ne sar'zameen
rome mein sardiyaan guzari. Abdur rahman
bin Khalid radi Allah anho wa maalik bin
habeera sakooni ka naam bhi liya gia hai. Is
saal abdur rahman bin Khalid radi Allah
anho rome mein hams ki taraf aaey.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 70
47 ad mein musalmanoon ne kia kiya?
Is saal musalmanoon ne mausam e sarma
bilad e rome mein guzara. Aur is mein
Hazrat Muawiya radi Allah anho ne hazrat
Abdullah bin umroo bin il-aas radi Allah
anho ko diyar e misar se mazool kr ke hazrat
muawiya bin khadij ko wahan ka hakim
muqarar kiya.
Al.bidaya Wan.Nahaya, Vo 8, Page 48.
Is saal maalik bin habeera na sar'zameen e
rome mein aur abu abdur rahman qaini ne
intakia mein sardiyaan guzari.
Tareek Tabri vol 4, page 71.
48 ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya?
Is saal abdur rahman al.qutni ne
musalmanoon ke sath bilad e intakia mein
mausam e sarma guzara aur issi mein uqba
bin aamir ne ahle misar se samunder mein
jung ki.
Al.bidaya Wan.Nayaha, Vol 8, Page 49.
Is saal maalik bin habeera sakooni ne darya
mein jung ki.
abdur rahman bin qaini ne intakia mein
sardiyaan guzari aur Abdullah bin qais fazari
ne garmiyoun ka jehaad kiya.
Tareekh Tabri Vol 4 , Page 72.
49 ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya?
1:Is saal maalik bin habeera ne zameen e
rome mein sard mausam guzara.
2: Fazala bin ubaid ne jarya mein jung ki,
fatah hasil hoi aur bahut se qaidi haath aey.
3: Abdullah bin koza bijli ne
garmiyoun mein hamla kiya. Uqba bin
nafeh ne darya mein jung ki aur ahle miser
ke sath sardiyaan guzari.
4: yazeed ne jung ki yahan tak ke
qustuntuniya tak pohanch gia.
Ibn abbas, ibn umer, ibn zubair aur abu
ayyub ansari radi Allah anhum us ke sath
the.
Tareekh Tabri Vol 4, Page 72
1: Is saal yazeed bin muawiya ne bilad e
rome ke sath jung ki. Hatta k sadat
e sahaba radi Allah anhum ki aik jamat ke
sath jis mein Hazrat ibn umer, hazrat
ibn abbas, hazrat ibn zubair aur hazrat abu
ayyub ansari radi Allah anhum shamil the
qustuntunia pohanch gia.
2: Aur issi saal maalik bin habeera fazari ne
roomiyoun ke ilaqay       mein mausam e
sarma guzara. Aur issi saal mein fazala
bin            ubaid ka ghazwa hua.aur wohi
mausam e sarma guzara aur sheher ko fatah
ker ke bahut si ghaneemat hasil ki.
3: Aur issi saal Abdullah bin karz ki garmai
jung hoi aur issi mein ta'oon ki waba koofa
mein parri.
Al.bidaya Wan.nahaya, vol 8, page 49.
Yazeed pehla shakhs hai jis ne yaqoob bin
sufiyan ke qol ke mutabiq 49 ad mein
qustuntuniya sheher se jung ki aur khalifa
bin khayat ne 50 ad bayan kiya hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 290
Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya
50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin
Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi
Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha
Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk
Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To
Wahan Aise Mouliq Bemari Ho gayi,Ye Baat
Hazrat E Mawiyah Ko Pata Chali,Yazeed Ne
Khush Hokar Kuch Ash'ar Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per
Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa
parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi
Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu
Umaiye Kulsoom Ko Apne Pass Liye Betha
Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche
To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko
Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir
Yazeed Ki Biwi Thi.
{Ibne Aseer:3/189}
Allama Badruddin Aini Apni Sharha Mein
Youn Likhte Hain:
"Hazrat Mawiya Ne Ek Laskar Jis Ke
Ameer,Sufiyan Bin Aouf,Ibne Abbas,Ibne
Omar,Ibne Zubair Aur Ayub Ansari The Aur Ye
Lashkar Shaher Ko Fateh Karte Huwe Wahan
Shaheed Ho gaye,Yazeed Ke Sarparasti Mein
Itne Jalil Ul Qadar Sahabi Un Ke Matehat
Kaise Hote,Aur Yazeed Ameer Ka Ahal Na
Tha"
{Umdatul Qari Shahrah Sahi Bukhari:6/649}
Pahela Lashkar Jo Jihad Ke Liye Nikla Us Ke
Ameer O Qaaid Sufiyan Bin Aouf The.
Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne
Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke
Hukum Per Jihad Kiya.
Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja
Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom
Ke Sath tha
50 ad mein bilad e rome per kis ne hamla
kiya.?
Aur isi saal busar bin artaat aur sufiyan bin
oaf ne sarzameen rome se jung ki aur isi
mein fazala bin ubaid ne behri jung ki.
Al.bidya Wan.nahaya. vol 8, page 66.
ﺑﺴﺮﺑﻦ ﺍﺭﻃﺎﻁ ﺍﻭﺭ ﺳﻔﯿﺎﻥ ﺑﻦ ﺍﺯﺩﯼ
Is saal basar bin artaat aur sufiyan bin azdi
ne sar'zameen rome se jung ki aur ye bhi
kaha jata hai ke fazala bin ubaid ansari ne
darya mein jung ki
Tareekh Tabri Vol 8 Page 73.
Allama Ibne Aseer Likhte Hain:
"Hazrat E Mawiyah Ne Ek Laskar Tayyar Kiya
50 Hijri Mein,UsKe Ameer Hazrat Sufiyan Bin
Aaouf Ko Banaya Aur Yazeed Ko Bhi
Ghazwah Mein Shamil Hone Ke Liye Kaha
Mager Us Ke Heele Bahane Se Woh Ruk
Gaya,Jub Phele Lashkar Room Phoncha To
Wahan Aise Mouliq(jaan laiwa) Bemari Ho
gayi,Ye Baat Hazrat E Mawiyah Ko Pata
Chali,Yazeed Ne Khush Hokar Kuch Ash'ar
Parhe"
Ash'ar Ye The:
"Mujhe Parwah Nahi Ke In Lashkaroun Per
Bukhar Aur Tangi O Takleef Ke Balain Aa
parain,Jub Ke Mein Der Meran Ounchi
Masnad Per Takiya Laga Kar Betha Hu
Umaiye Kulsoom Ko
Apne Pass Liye Betha Hun"
Ye Ash'ar Ameer E Mawiyah Tak Phounche
To Unho Ne Qasam Khai Ke Ye Taqleef Is Ko
Bhi Honi Chahiye.
umaiye Kulsom bint E Abdullah Ibne Amir
Yazeed Ki Biwi Thi
{Ibne Aseer:3/189}
Yazeed Ko Raah E Khuda Mein Jihad Karne
Ka Koi Shoq Na Tha Balkey AmeerMawiya Ke
Hukum Per Jihad Kiya
@Ameer Mawiya Ne Bator Saza Us Ko Bheja
Tha Woh To Shair,Ayashi,Aur Umme Kulsom
Ke Sath tha.
ﺍﺏ ﺁﺋﻴﮯ ﺩﯾﮑﮭﺘﮯ ﮨﯿﮟ ﮐﮧ ﯾﺰﯾﺪ ﻟﻌﻨﺘﯽ ﮐﯿﺴﮯ ﮨﻮﺍ؟
Yazeed lanti kaise hua?
ﺣﻀﺮﺕ ﺍﻣﺎﻡ ﺣﺴﯿﻦ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﺎ ﻣﻘﺎﻡ
ﺍﻭﺭ ﺷﮩﺎﺩﺕ ﮐﯽ ﺧﺒﺮ ﭘﺮ ﻣﺸﺘﻤﻞ ﭼﻨﺪ ﺍﺣﺎﺩﯾﺚ ﭘﯿﺶ
ﮨﯿﮟ ﺍﺳﮑﮯ ﺑﻌﺪ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﮐﺎ ﻣﻄﺎﻟﻌﮧ ﮐﺮﯾﮟ ﮔﮯ۔ ﺍﺱ
ﺁﺭﭨﯿﮑﻞ ﻣﯿﮟ ﻭﺍﻗﻌﮧ ﮐﺮﺑﻼ، ﺷﮩﺎﺩﺕ ﺍﻣﺎﻡ ﺣﺴﯿﻦ ﺭﺿﯽ
ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﮯ ﺑﺎﺭﮮ ﻣﯿﮟ ﺗﻔﺼﯿﻠﯽ ﺑﺎﺕ ﻧﮩﯿﮟ ﮐﯽ
ﮔﺊ ﺍﻭﺭ ﮐﯿﻮﻧﮑﮧ ﺍﺱ ﺁﺭﭨﯿﮑﻞ ﮐﺎ ﻣﻘﺼﺪ ﯾﮧ ﮨﮯ ﮐﮧ
ﯾﺰﯾﺪ ﭘﺮ ﻟﻌﻨﺖ ﮐﺮﻧﺎ ﺟﺎﺋﺰ ﮨﮯ ﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ۔ ﺍﻭﺭ ﮐﯿﺎ ﯾﺰﻳﺪ
ﮐﻮ ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﯾﺎ ﺭﺣﯿﻢ ﺍﻟﻠﮧ ﮐﮩﻨﺎ ﺟﺎﺋﺰ ﮨﮯ ﯾﺎ ﻧﮩﯿﮟ۔
ﺍﺱ ﻟﺌﮯ ﺁﺝ ﺍﺣﺎﺩﯾﺚ ﺍﻭﺭ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﺳﮯ ﺍﺱ ﺣﻘﯿﻘﺖ ﮐﺎ
ﭘﺮﺩﮦ ﺍﭨﮭﺎﺋﯿﻨﮕﮯ۔ﺍﻧﺸﺎﺀ ﺍﻟﻠﮧ۔ ﺫﺍﮐﺮ ﻧﺎﺋﯿﮏ ﺍﻭﺭ ﺩﯾﮕﺮ
ﻟﻮﮒ ﯾﺰﯾﺪ ﮐﻮ ﺻﺮﻑ ﺍﻣﺎﻡ ﺣﺴﯿﻦ ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴّﻼﻡ ﮐﮯ
ﺣﻮﺍﻟﮯ ﺳﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮐﺮﺗﮯﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮐﻮ ﺟﻨّﺘﯽ ﺛﺎﺑﺖ
ﮐﺮﻧﮯ ﮐﯽ ﮐﻮﺷﺶ ﮐﺮﮐﮯ ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﻳﺰﯾﺪﯼ ﺛﺎﺑﺖ
ﮐﺮﺭﮨﮯﮨﯿﮟ۔ﺍﺏ ﺗﺎﺭﯾﺦ ﺍﻭﺭ ﺍﺣﺎﺩﯾﺚ ﭘﮍﮬﯿﮟ۔
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH ANHO
KA MUQAM AUR SHAHADAT KI KHABAR PER
MUSHTAMIL CHAND AHADEES PAISH HAIN
IS K BA'D TAREEKH KI STUDY KRTE HAIN
ﯾﺎ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻮ ﺑﮭﯽ ﺣﺴﯿﻦ ﺳﮯ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﺮ
Ya Allah tu bhi Hussain se mohabbat ker
HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se
rawayat hai ke mein ne Rasoolallah
Sallallahu alaihe Wasallam ko dekha. Aap
Sallallahu Alaihe Wasallam ne hazrat
hussain alaihessalam ko uthhaya hua tha
aur ye farma rahe thy:
"aey Allah mein is (hussain) se Mohabbat
kerta hoon tub hi is se mohabbat ker.
Al'mustadrak al'haakum,177/3
HADEES
Rasoolallah Sallallahu alaihe Wasallam ne
Farmaya:
"Hussain mujh se hai aur mein hussain se
hoon, Allah us shakhs se mohabbat kerta hai
jo hussain se mohabbat kerta hai.
Jamiya trimdhi 219/2.
HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne
hussain bin ali radi Allah anhuma ke baray
mein farmaya:
"jis ne is se mohabbat ki us ne mujh se
mohabbat ki"
Al'majum al'kabeer, 3, hadees no 2643.
HADEES
Hazrat Ayesha radi Allah anha se rawayat
hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya:
"jibrail e ameen ne mujhe khabar di ke ye
mera beta hussain mere ba'd muqam e ta'f
mein qatal ker diya jaey ga.
Al'majum al'kabeer,107/3, hadees 2814
HADEES
Aap ki ummat Aap Sallallahu Alaihe
Wasallam ke is betay hussain ko us
sar'zameen per qatal ker de gi jis ko karbala
kaha jata hai.
Al'majum al'kabeer, 109/3, hadees 2819.
HADEES
Ummul mo'maneen hazrat ummay salma radi
Allah anha se marwi hai ke:
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya:
"Hussain bin Ali ko 60 ad ke akhir mein
shaheed ker diya jaey ga.
Tabrani fil awsat, 190/9
HADEES
Hazrat abu hurayra radi Allah anho aksar
dua farmaya kerte the:
"aey Allah mein 60 ad ki ibtada aur
(ganwwar) larkoon ki hakoomat se teri panah
chahta hoon
Al'sawaiq al'harqa,221.
HADEES
Aal e Muhammad Sallallahu alaihe
Wasallam ka aik groh is maidan (karbala)
mein shaheed hoga jis per zameen o aasman
roeengay.
Al'khasais al'kubra, 126/2, sar
ash'shahadateen, 13
HADEES
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya:
"jis ne in (Hassan aur hussain) donoon se
mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki aur
jis ne in donoon se bughaz rakhha us ne
mujh se bughaz rakhha.
Al.bidaya wan'nahaya, vol 8, page 262.
HADEES
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya:
"Hassan aur Hussain Radi Allah Anhuma
no'jawanane jannat ke sardar hain.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 263.
ﻣﺨﺘﺼﺮ ﻗﺼّﮧ ﮐﺮﺑﻼ
SHORT DESCRIPTION OF KARBALA
HADEESAIN
Quraish ke hathoon halaqat
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko
farmatay suna ke mera beta yanni Hazrat
Hussain arz e karbala mein qatal hoga aur
tum mein jo shakhs us moqa per mojood ho
wo us ki madad kray.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page255
Hazrat abu hurayra radi Allah anho se
rawayat hai ke Hazoor Sallallahu Alaihe
Wasallam ne farmaya ke "meri ummat ki
halakat Quraish ke larkon ke hathoon hai.
Mishkaat musabeh, vol 3, page 8,
5153,ba'hawala sahih bukhari
Quraish aur bani ummiya
Hazoor Sallallahu Alaihe Wasallam ne
farmaya: "Ye amer hamesha insaaf o
ehtadaal ke sath qaiym rahega, Hatta ke
banu ummayya ka aik shakhs issay torr de
ga.
SUNNAT BADALNE WALA
Hadees
Aur baihaqi ne awful ahrabi ke tareeq se an
abi khalda, an abil aalia, an abi zar rawayat
ki hai, woh bayan kerte hain ke mein ne
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ko
farmaty suna ke bila'shuba meri sunnat ko
badalne wala pehla shakhs bani umya se
hoga.
Ye hadees abul aaliya aur abu zar ke
darmiyan munqatah hai. Aur baihaqi ne abu
ubaida ki mutaqadim hadees se issay tarjeeh
di hai, woh bayan kerte hain ke shak parta
hai ke ye shakhs Yazeed bin Muawiya bin abi
sufiyan hai. Wallahu Aalamu
Al.bidayah wan'nahaya Vol 6, Page 310
Hadees
Ro'yai ne apni musnad mein abu darda se
rawayat kiya hai ke mein ne Nabi Pak
Sallallahu Alaihe Wasallam se suna ke sab
se pehle bani umayya ka aik shakhs yazeed
naami meri sunnat ko badlay ga.
Tareekh-ul-Khulafa Page 300
HADEES
Ubaid Bin Jarrah Farmate Hain:
"Rasool Allah Ne Farmaiya:"Meri Ummat Ka
Mamla Adal O Insaf Per Qaim Hoga.Yahan
Tk Ke Rakhna Andazi Karne Wala Shaks Bani
Ummaiyah Se Hoga Aur Naam Us Ka Yazeed
Hoga"
{Majma Alzawaid:5/241,Tareekh Ul Khulafa
Arabi Syouti:142}
RAB E KA'ABA KI QASAM
Hazrat Umer Radi Allah anho ko farmatay
suna ke: Rab e Ka'aba ki qasam! Mujhe
maloom hai ke arab kab halaak hoon gay.
Jab unka muntazim(administrator) wo
shakhs hoga jis ne jahiliyat ka zamana paya
hoga na ussay islam mein tuqaddam hasil
hoga.
Al.bidaya Wan.nahaya Vol 8 Page 294
ﺣﻀﺮﺕ ﻣﻌﺎﻭﯾﮧ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﯽ ﺯﻧﺪﮔﯽ
ﻣﯿﮟ ﯾﺰﯾﺪ ﮐﯽ ﺑﯿﻌﺖ ﮐﺮﻧﮯ ﺳﮯ ﺍﻧﮑﺎﺭ
Hazrat muawiya ki zindagi mein yazeed ki
bait se inkar
Jab hazrat muawiya radi Allah anho ki
zindagi mein yazeed k liye bait li gai to
hazrat hussain, hazrat Abdullah bin zubair,
hazrat abdur rahman bin abu bakr, hazrat
ibn umer aur hazrat ibn abbas radi Allah
anhum un logoon mein shamil the jinhoon ne
uski bait se inkar ker diya tha.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 196.
Yazeed ki taraf se ameer e Madina waleed
bin utba bin abi sufiyan ki taraf khat
Yazeed ne Waleed bin utba ko likha: "amma
ba'd! Hazrat Hussain, Hazrat Abdullah bin
Umer aur Hazrat Abdullah bin zubair radi
Allah anhuk ko sakhti se bait ke liye pakarr
lo aur is mein kisi qisam ki narmi nhe hatta k
woh bait ker lain
Wassalam
Al.bidaya wan.nahay, vol 8. page 191.
ﺣﻀﺮﺕ ﺣﺴﯿﻦ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﻮﻣﺪﯾﻨﮧ ﻣﯿﮟ
ﯾﺰﻳﺪ ﮐﺎ ﺧﻂ ﻣﻼ ﮐﺮﺑﻼ ﺳﮯ ﭘﮩﻠﮯ
Hazrat Hussain radi Allah Anho ko Madina
Mein
Yazeed ka khat mila
Waleed bin utba ne aap ko khat (letter) diya
aur hazrat muawiya radi Allah anho ki maut
ki khabar di. Aap ne Inna Lillahe Wa Inna
Ilaihe Raji'oon parha aur farmaya Allah
ta'ala ameer muawiya per reham farmaey aur
tujhe barra ajer de.
Pas ameer ne apko bait ki dawat di to Hazrat
Hussain radi Allah anho ne ussay kaha mere
jaisa shakhs posheeda bait nhe krta. Aur aap
mujh se is ka taqaza na karain. Lakin jab log
ikathay hongy to un ke sath hamain bhi bula
lijiyega aur aik he baat hogi. Walid ne aap se
kaha aur wo h aafiyat pasand tha Allah ka
naam le ker  wapis chalay jaeye aur jamat ke
sath wapis aaeye.
Marwan ne walid se kaha, Khuda ki qasam
ager ye tujh se juda ho gaey aur is waqt bait
na ki to tumaray darmiyan aur unke
darmiyan qatlaam hoga. Unhain rokiye aur
bait kiye baghair jane na dijiye. Basoorat e
digar unhain qatal ker dijiye.
Hazrat hussain radi Allah anho
ne kaha aey ibn zarqa tu mujhe qatal
krayga? Khuda ki qasam tu ne jhoot bola hai
aur gunah kia hai phir aap apne ghar wapis
aa gaey. To marwan ne walid se kaha Khuda
ki qasam is ke ba'd tu unhain kabhi nhe
dekhay ga.
Walid ne kaha aey marwan qasam bakhuda
mein nhe chahta ke duniya mafiha mere liye
ho aur mein Hazrat hussain radi Allah anho
ko qatal kron. SubhaanAllah, mein hazrat
hussain ko is qol per ke mein bait nhe krta
qatal ker doon. Aur qasam bakhuda mera
yakeen hai ke jo shakhs hazrat hussain radi
Allah Anho ko qatal krayga qayyamat ke roz
uska tarazoo halka hoga.
(SubhaanAllah aik walid ka ye imaan ke
Hazrat imam ko qatal krne wale ka qayamat
ke roz imaan ka tarazoo halka hoga aur aik
yazeed jis ne unko qatal kradiya)
Yazeed bin muawiya ne walid bin utba ko is
kotahi ki wajah se madina ki amarat se
mazool ker diya.
ﺍﻟﺒﺪﺍﯾﮧ ﻭﺍﻟﻨﮩﺎﯾﮧ، ﺝ 8 ، ﺹ 192
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 192.
ﺍﺑﻦ ﺯﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﺣﮑﻢ ﺍﻣﺎﻡ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﮯ ﻟﯿﮱ ﮐﺬﺍﺏ ﺑﻦ
ﮐﺬﺍﺏ ﮐﻮ ﮔﺎﻟﯿﺎﮞ ﺩﻭ۔
Ibn ziyad ka hukam kazab bin kazzab ko
galiyan do
Qais bin musaer sidawi hazrat hussain radi
Allah anho ka khat le kr koofa aaya jab woh
qaadsiya poncha to hasain bin numair saqfi
ne ussay pakar ker ibn ziyad ke pass bhejwa
diya, ibn ziyad ne ussay kaha, mahal ki choti
per charr ker kazzab bin kazzab bin ali bin
abi talib aur usk betay hussain ko galiyaan
do.
Al.bidaya wan.nahaya vol 8 page 218.
ﺷﮩﺎﺩﺕ ﺍﻣﺎﻡ ﺣﺴﯿﻦ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﺍﻟﻔﺎﻅ ﻣﯿﮟ
Shahadat e Imam Hussain Mukhtasar alfaaz
mein
Yazeed 60 hijri mein hukamran bana
HADEES
"60 Hijri Se Allah Ki Panah Mango Aur Bacho
Ke Hukmrani Ke"
{Albadaiyah O Alnahiyah:8/31}
HADEES
Hazrat abou Saeed Khudri Farmate Hain:
"Woh Larke 60 Hijri Ke Bd Hun Ge,Jo
Namazain Zaiya Karain Ge,Aur Shewat Ke
Pariwi Karain Ge,Tu Woh Ankareeb Gayi
(Jahanum Ke Sakt Wadi) Mein Dalain Jain
Ge"
{Al Bidaya Wann Nihaya:8/230}
"Is Hadees Mein Ishara Hai Ke Un Larkoun
Mein Sub Se Phele Larka 60 Hijri Mein
Hoga.Woh Hi Howa,Kyoun Ke Yazeed Bin
Maawiya 60 Mein Khalifa Bana Aur 64 Tak
Baqi Raha Phir Mar Gaya"
{Fatha Ul Bari:13/8}
Allama Badruddin Aaini Apni Shara Mein
Likhte Hain:
"Aur In Larkoun Mein Se Sub Se Pahele
Yazeed Hai,
Woh Aksar Aahwal Mein Buzurgoun Ko Bare
Bare Shahroun Mein Se Hatha Kar Unki Jaga
Apne Aziz O Akarib Mein Nav umar Larkoun
Ko Muqarar Karta Tha"
{Umdat Ul Qari Sharah Sahe Bukhari:pg180
Hassiya Bukhari}
HADEES
Hazrat Imran Bin Hassain Farmate Hain;
"Aqa Ne Is Haal Mein Wafat Paai Ke App
Teen Qabiloun Ko Na Pasand Farmate The:
1: QabilaSaqeef
2: bani Hanifa
3: Bani Ummaiya
"Shah Muhadis Hadees Ke Sharah Mein
Likhte Hain;
"Qabila Saqeef Mein Zalim Baadshah Hajaj
Bin Yousuf Howa Jisne Ne Kam o besh
124000 Muslamoun Ko Qatal KIya,
Aur Bani Hanifa Mein Kazab Howa Jis Ne
Nabowat Ka Jhota Dawwa Kiya,
Aur Bani Ummaiyah Se YAZEED Aur Ibne
Ziyad Jaise Paida Howe Jis Ne ALE RASOOL
Ko Qatal Kiya
60 saal ke baad
HADEES
Hazrat saeed khadri radi Allah anho bayan
kerte hain ke : Hazoor Sallallahu Alaihe
Wasallam ne farmaya ke 60 saal ke ba'd
bekhaber admi hongay, jo namaz ko zaiya
krain gay aur khawaishaat ki parivi krain gay
aur anqareeb halakat se do'chaar hongay. Jo
Quran parhain gay aur wo un ke galoon se
agay nhe jaey ga aur 3 admi Qur'an parhain
gay mo'min, fasiq aur  faajir. Mein ne waleed
se pocha ye teen admi kaun hoon gay? Us
ne kaha munafiq is ka inkari hoga aur faajir
is ke zariye khanna harrap kray ga aur
mo'min is per imaan laey ga.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 292
YAZEED NE IMAM HUSSAIN RA SE JUNG KA
HUKAM DIYA UBAIDULLAH BIN ZIYAD KO
Imam Hussain radi Allah anho Ahle Iraq ke
likhne per 10 dhul hajj ko apne ahle ka aik
groh sath le ker jis mein chand mard,
auratain  aur bachay thy, koofa ko rawana
hoey. Idher Yazeed ne Iraq ke hakim
Ubaidullah bin ziyad ko aap se jung kerne ka
hukam diya to us ne Umer bin Sa'ad bin abi
waqas ke zair kamaan 4000 hazar lashkar
rawana kiya…… … Khuda aap ke qaatil ibn
ziyad aur yazeed per lannat kray.
Tareekh-Ul-Khulafa Page 298
er bin zil joshan aur hasain bin numair ko
aap ke pass bheja. Aur aap ne unko Allah
aur islam ka wasta diya ke woh aap ko
yazeed ke pass le jaeen wo apna hath yazeed
ke hath mein rakh dain gy unhoon ne aap se
kaha ke aisa nhe ho sakta siwaey is ke aap
ibn ziyad ke faislay ko tasleem ker lain aur jo
log un ke sath the un mein her bin yazeed
hanzali bhi sawaroon ka sardar tha. Jab us
ne imam hussain ki baat suni to us ne un
(yazeedion ) se kaha ke kiya tum Allah se
nhe darte? Kiya tum in logon ki in baton ko
qabool nhe krogy jo tumaray samne ye paish
ker rahe hain.
Khuda ki qasam! Ager turk aur
delam tum se ye mutalba kerte to un ko
wapis krna tumaray liye jaiz na hota magar
unhoon ne ibn ziyad ke faislay ke siwa kisi
aur faislay ko manne se inkar ker diya. Pas
us (her) ne apne gorray ko chabak mari aur
hazrat hussain k pass aa gia. Aur unhoon ne
khayal kiya ke wo in ke sath jung krne aya
hai.aur jab wo un ke nazdeek aya to us ne
apni dhal ko palat diya aur unhain salam
kaha phir us ne ibn ziyad ke as'haab per
hamla ker diya aur un mein se 2 aadmion ko
qatal kiya phir khud qatal hogia.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 221.
SHAHADAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAH
ANHO
Rawi bayan kerte hai k wo uthh ker apne
gorray k pass gia aur us per sawar hogia
phir us ne apne hathiyar mangwa ker pehnay
aur wo apne gorray per sawar tha aur wo
logoon ke sath unki taraf gia aur inhooon ne
(yazeedion) ne un ke sath jung ki aur Hazrat
Hussain Radi Allah Anho ka sar ibn ziyad ke
pass la ker us ke samne paish rakha gia wo
apni chharri ko apki naak per rakhh ker
kehne laga bila'shuba abu Abdullah siyah
safaid balloon waly hain.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 222.
QATLEEN HUSSAIN KE NAAM
Jab hazrat Imam Hussain radi Allah anho
peene ke qabil pani ki tarf gaey to aik shakhs
ne jissay hassain bin tamim kaha jata tha,
us ne aap ke taloo per teer maar ker chheed
ker diya
Al.bidaya wan'nahaya, Vol 8. Page 240
Pass jawanoon ne her taraf se Hazrat
Hussain radi Allah anho per hamla ker diya.
Aur zarhat bin shareek tamimi ne aap ke
baeen (left shoulder) kandhay per talwar
maari aur daeen kandhay(right shoulder)
per bhi talwar maari phir wo apko chhorr ker
wapis chale gay.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 241
Bani tamim ke aik shakhs jissay umroo
al'tehri kaha jata tha us ne Hazrat imam ke
donon kandhoon ke darmiyaan teer mara
aur mein us teer ko aap ke kandhon ke
darmiyan aap ke jubbay ke sath latka hoey
dekh raha hoon
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 223
Hazrat Hussain radi Allah anho ke qaatil
kaun?
1: sanan bin abi Umroo bin anas nakha'i
2: Shimmer bin zil joshan
3:Umer bin sa'ad bin abi waqas
Ye mukhtalif rawiyoun ke qol hai qatleen
Hussain ke bary mein
Al.bidaya Wan'nahay, Vol 8, Page 241
NOTE
ﺿﺮﻭﺭﯼ ﻧﻮﭦ
( kuch log kehte hain ke yazeed ki fauj ne
hazrat imam alaihessalam ko shaheed nhe
kiya. Lakin yahan ye baat clear ho jati hai ke
ye as'haab yazeed ki army ke the aur in ko
ibn ziyad ne Yazeed ke hukam ko poora
kerne k liye he bheja tha. Aur yazeedi army
ke he her hanzla ne tauba ker ke imam
hussain alaihessalam ki taraf se yazeedi
army per hamla kiya tha.)
Yazeed Ke Darbar mein Imam Hussain RA Ka
sar e Mubarak Paish hona aur Us ki Gustakhi
Kerna
ﯾﺰﯾﺪ ﮐﮯ ﺩﺭﺑﺎﺭ ﻣﯿﮟ ﺣﻀﺮﺕ ﺣﺴﯿﻦ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ
ﻋﻨﮧ ﮐﺎ ﺳﺮ ﻣﺒﺎﺭﮎ ﭘﯿﺶ ﮨﻮﻧﺎ ﺍﻭﺭ ﺍﺱ ﮐﯽ ﮔﺴﺘﺎﺧﯽ
ﮐﺮﻧﺎ
Yazeed ne logoon ko darbar mein aane ka
hukam diya. Log dakhil hoey kia dekha ke
aap ka sar yazeed ke saamne rakha hua hai,
yazeed k hath mein chharri hai woh aap k
dantoon ko chharri se chair rha hai aur ye
keh rha hai ke in ki aur meri wo h misaal hai
jo hasain bin hamam mari ne kahi hai
Hamari talwarain apne he peyaroon ke sar
urra deti hain. Who b to barray nafarman aur
barray zaalim the.
As'haab e Rasool sallallahu alaihe wasallam
mein se abu barza aslami radi Allah anho ne
ye dekh kr kaha ….. aey yazeed teri chharri
aur hussain radi Allah anho ke dant! Array
teri chharri kis muqam per hai. Mein ne isi
jagah ko dekha ke Rasoolallah sallallahu
alaihe wasallam choomte the. Sun rakh
qayyamat ke din tera hasher ibn ziyad k sath
hoga aur hussain radi Allah ta'ala anho
Muhammad sallallahu alaihe wasallam ke
sath hoongay. Ye keh kr wo h darbar se uthh
kr chale gaey.
Tareekh tabri volume 4, page 240,
Pas yazeed ne hazrat imam radi Allah anho
ke sar ko apnea gay rakha aur us k pass
hazrat abu barza aslami bhi the aur yazeed
chharri se aap ke chehray per thhokain dene
laga aur kehne laga:
" wo talwarain in murdoon ki khhoprion ko
phharr deti hain jo ham per garaan hote hain
aur wo barray na'farman aur zaalim thy. Abu
barza ne ussay kaha apni chharri uttha lo'
qasam Khuda ki mein ne basa'oqat
Rasoolallah sallallahu alaihe wasallam ko
apne mu ko in ke mu per rakh ker choomte
dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8 page 253
Qoul E Abou Barzha:
"Jub Imam Ka Sar Mubarak Yazeed Ke
Samne Rakha Tu Us Ne Apni Chharri se
imam Ke Laboun Per Marta Hai,Teri Churi
Imam Ke Us Maqam Per Maar Raha Hai Jis
Jaga Aqa Un Ko Chooma Karte The,Aaye
Yazeed Baroz e Qayamet Jub Tu bargahe
Khuda Wandi Mein Hazir Hoga Tera Haami
Sirf Ibne Ziyad He Hoga,Aur Jub Imam Ayeein
Ge Un Ke Haami Aqa Hun Ge"
{Seerat Halbiya:1/3}
Jub Ibne Ziyad Ne Imam Ko Aur Un Ke
Rufuka Ko Qatal Kardiya Aur Un Ke Saar
Mubarak Ko Yazeed Ke Pass Bheja To
Yazeed Imam Ke Qatal Se Awwalan Khush
Howa,Uske Wajah Se Ibne Ziyad Ke Qadar O
Manzeelat Us Ke Nazdeek Ziyada
Hoge,Mager Woh Us Khushi Per Ziyada Deer
Tk Qaim Na Raha tha Ke Phir Nadim Howa"
{Albadaya Wann Nihaya:8/232}:
Allama Ibne Kaseer Farmate Hain:
"Beshak Yazeed Ne Ibne Ziyad Per Is Ke Fail
Ke Wajah Se Laanat Tu Ke Aur Us Ko Bura
Bhalla Bhe Kaha,Us Wajah Se Ainda Jub
Haqeeqat Zahir Ho gai,Baat Khule Ge Tu Phir
Kiya Hoga.Lekin Na Tu Usne Ibne Ziyad Ko
Mazool Aur Na Bad Mein Us Ko Kuch
Kaha,Aur Na He Us Ke Is Sharam Nak Aib Ke
Alamat Ke"
{Albadaiyah Wann Nahaiyaha:8/203}
yazeed ne hussain bin hamam al'marari
al'shahr ka ye shair parha
Wo talwarain in jawanoon ke saroon ko phorr
deti hain jo ham per garaan hote hain aur
wo barray na'farman aur zaalim thy
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8, Page 246
Jab hazrat hussain radi Allah anho ka sar
laya gia to yazeed chharri se thhoker dene
laga, sufiyan ne bayan kia hai ke mujhe
bataya gia hai ke hassain is k ba'd ye shair
parhta tha:
Samiya ki nasal ki ta'adad sangraizoon ki
manind ho gai hai aur Rasoolallah
Sallallahu Alaihe Wasallam ki beti ki koi
nasal nhe hai.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 247
ﯾﺰﯾﺪ ﮐﺎ ﻋﻠﯽ ﺑﻦ ﺣﺴﯿﻦ ﮐﻮ ﺳﺎﻧﭗ ﮐﺎ ﺑﯿﭩﺎ ﮐﮩﻨﺎ
Yazeed ka Ali bin Hussain ko saanp ka beta
kehna
Saanp saanp ko he jannam deta hai
Aik din yazeed ne Umer Bin Hussain (imam)
se kaha wo bahut chhotay thy. Kiya tu is ke
sath jung kray ga. Yanni is ke betay Khalid
bin yazeed ke sath, us ka maqsad aap se
mazah aur tafreeh kerna tha. Umer bin
Hussain ne kaha mujhe aur ussay aik aik
chharri de do ta ke ba'ham jung krain to
yazeed ne aapko pakor ker apne sath laga
liya aur kehne laga, mein saanp ki tabiyat ko
janta hon, saanp saanp ko he jannam deta
hai.
(kiya yazeed ka ye kehna jaiz tha ke Nawasa
e Rasool ko saanp ko kehna? Allah uski
akhirat kharab kray aameen)
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 250
ﺍﺑﻦ ﺯﯾﺎﺩ ﮐﺎ ﺷﺎﻡ ﮐﯿﻄﺮﻑ ﺟﺎﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ ﻗﺘﻞ ﺣﺴﯿﻦ ﭘﺮ
ﺷﺮﻣﻨﺪﮦ ﮨﻮﻧﺎ
Ibn ziyad ka shaam ki taraf jate hoey qatl e
hussain per shrminda hona
Yazeed Ke Mout Ke Bd Ibne Ziyad Shaam Ko
Rawana Howa,Sawari Per Kisi Ghari Soch Per
Tha,Rafiq E Saffar Ne Kaha:"App Ko Nind
Nahe Arahe Hai?
Ibne Ziyad Ne Kaha:"Kuch Soch Raha Hun?"
Rafiq:"Yea Ke Ager Meine Imam Ko Qatal Na
Kiya Hota?
Ziyad:"Jahan Tk Imam Hussain Ko Qatal
Karne Ka Taluq Hai,Yazeed Ne Mujhe Hukum
Diya Tha Warna Woh Mujhe Qatal
Kardeta,
{Ibne Aseer:4/55}
ﺍﻡ ﻟﻘﻤﺎﻥ ﺑﻨﺖ ﻋﻘﯿﻞ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮩﺎ ﮐﺎ ﻧﻮﺣﮧ
Umme luqman binte aqeel radi Allah anha ka
nooha
Jab ahle madina ko qatle hussain radi Allah
anho ki khabar pohanchi to binte aqeel radi
Allah anho ibn abi talib apne khandan ki
auratoon ko sath liye hoey niklein. Sar unka
khhulla hua tha chadar ko sanbalti jati thi.
Aur ye keh rahe thi
"logo ! kiya jawab do gay paighamber ko.
Jab woh tum se pochhain gay ke tum ne
paighamber akhiruz zaman ki ummat ho ke
meri izat aur mere ahle bait ke sath mere
ba'd kiya salook kiya, un mein se kuch aseer
(qaid) hain aur kuch aloooda khaak o
khoon.
Tareekh tabri, volume 4, page, 241.
Jinoon Ka Nooha Kerna.
ﺟﻨﻮﮞ ﮐﺎ ﻧﻮﺣﮧ ﮐﺮﻧﺎ
Abu Na'eem dalail mein hazrat Ummay
Salma radi Allah anha se rawayat kerte hain.
Wo kehti hain mein ne jinnoon ko Hazrat
Imam Hussain radi Allah anho ki shahadat
per rotay aur nooha kerte suna hai.
Tha'lub apne amali mein abu janab kalbi se
rawayat kerte hain. Mein karbala mein ayaa
to ashraaf e arab se aik shakhs se mein ne
poochha, mein ne suna hai ke jinnaat ka
nooha sunte rahe ho? Us ne kaha ye baat to
yahan tumain her shakhs jo milay ga, bata
dega. Mein ne kaha tum ne jo suna hai wo
mujhe bata do. Us ne kaha mein ne to ye
shair sunay hain.
Rasoolallah Sallallahu Alaihe Wasallam ne
un ke chehra e Mubarak per hath phaira.
Isi waja se un ke rukhsaar chamak rahay
hain.
Un ke waldain Quraish ke aala khandan se
hain aur un ke Nana behtareen khalqat hain.
Tareekh-ul-Khulfa, Page 300
Bani matlab ki aik aurat apne baal kholay
aur apni aasteen apne sir per rakhy bahir a
ker un se mili aur wo ro ro keh rahe thi
"Ager Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam tum
se kahain ke akhri ummat hoty hoey tum ne
mere fout hone ke ba'd mere ahle aur meri
olad se kiya salook kiya to tum kiya jawab
do gay. Un mein kuch to qaidi hain aur kuch
khoon se lathhray parry hain. Jab mein ne
tumari khair khawahi ki hai to ye mera badla
nhe ho sakta ke tum mere rishta'daroon mein
burai se jan'nasheeni kro.
Al.bidaya Wan'nahaya Vol 8 Page 253
IK GHAIBI PUKAR JIS NE QAATLEEN
HUSSAIN K JAHANMI HONE KI KHABAR
MADINA MEIN DI
ﺍﯾﮏ ﻏﯿﺒﯽ ﭘﮑﺎﺭ ﺟﺲ ﻧﮯ ﻗﺎﺗﻠﯿﻦ ﺣﺴﯿﻦ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﮧ
ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻨﮧ ﮐﮯ ﺟﮩﻨﻤﯽ ﮨﻮﻧﮯ ﮐﯽ ﺧﺒﺮ ﺩﯼ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﻣﯿﮟ
Madaini bayan kerte hain ke jab ahle harah
qatal hoey to Makkah mein Is shab ki shaam
ko abu qabees per aik haataf ne awaz di aur
Hazrat ibn zubair radi Allah anhuma baithay
sun rahe the.
"Rozadar, farmanbardar,ebadat
guzar, naik hidayat'yafta, husn e salook
kerne wale aur kamiyaabi ki taraf sabqat
kerne wale, waqam aur baqeeh(jannat
baqeeh 2 graveyard) mein kaise kaise azeem
aur khubsurat sardar aur yasrab(madina) ke
ilaqay mein kaisi kaisi rone aur chillane
waliyan hain' us ne naik ashkhaas aur
naikoon ke bettoon ko qatal ker diya hai jo
ba'ruhb aur sakhi thy.
Al.bidaya wan'nayaha vol 8 page 283.
Jis roz hussain radi Allah anho qatal hoey
ussi din subah ko madina mein ye awaz ei ke
hussain radi Allah anho k qatlo! Tum ko
azab o ruswai Mubarak ho.
Tamam ahle aasman, malaik aur ambiya tum
per duaey bad kr rhe hain. Aur tum per
dawood,Moosa wa Issa alaihessalam ne
lannat bheji hai. Umro bin akrama kehta hai
mein ne ye awaz sunni aur umroo bin khair
dam kalbi kehta hai ke mere baap ne bhi ye
awaz sunni thi.
Tareekh tabri volume 4 page 242/
Aur hishaam bin kalbi ne bayan kiya hai ke
hamaray baz as'haab ne ba'hawala umroo
bin al'muqaddam mujh se bayan kiya wo
bayan kerta hai umroo bin akrama ne mujh
se bayan kiya hai kiya ke:
Jis roz hazrat imam hussain radi Allah anho
qatal hoey ham ne madinah mein uski subah
ki to kiya dekhte hain ke hamari aik londi
ham se bayan ker rahi hai ke mein ne
guzishta raat se pehli raat ko aik pukarne
wale ko pukarte suna, wo keh raha tha:
" aey hazrat hussain radi Allah anho ko
az'rahe zulm qatal krne walo! Tumain azab o
saza ki basharat ho, tamam ahle aasman,
Nabi, Maalik aur log tumaray khilaaf
bad'dua ker rahe hain, tum per hazrat
dawood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel
hazrat issa alaihemussalam ki taraf se
lannat ki gai hai"
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 254.
Hazrat ummay Salma radi Allah anha farmati
hain ke mein ne jinnaat ko Hazrat Hussain
Radi Allah anho per Nooha kerte suna wo
keh rahe the:
"aey hussain ko jahalat se qatal kerne walo!
Tumain azaab o saza ki basharat ho, tamam
ahle aasman , Nabi, Musil aur log tumaray
khilaaf bad'dua ker rahe hain, tum hazrat
daood, hazrat Moosa aur sahib e anjeel
alaihemussalam ki zuban se lannat ki gai
hai.
Al.bidaya wan.nahaya, vol 8, page 257.
YAZEED KA KIRDAR:
ﯾﺰﯾﺪ ﮐﺎ ﮐﺮﺩﺍﺭ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﺍﻟﻔﺎﻅ ﻣﯿﮟ
In logoon ne madina aa ker ahle madina ke
samne yazeed ko sab o shitam krna shuru
kiya. Kaha ke ham aik aise shakhs k pass se
ho kr aaeye hain jo koi deen he nhe rakhta
hai. Sharab peeta hai. Tanboora bajata hai.
Us ki sohbat mein gana gane waliyan gana
gaya bajaya krti hain. Kuttoon se khailta
hai. Lachon aur londion se sohbat rakhta
hai. Tum sab log gawa rho. Ham ne ussay
khilafat se mazool kiya. Ye sun kr aur sab
logoon ne bhi un ki ittabah ki.
(is wafd mein Abdullah bin hanzla ansari
ghusail malaika radi Allah anho aur Abdullah
bin umroo makhzoomi aur munzar bin zubair
aur bahut se log ishraf madina mein se un k
sath the.in sab ko inhaam diya gia aur
munzar bin zubair ko aik lakh dirham inham
diya gia.) Tareekh tabri jild 4 page 252
Munzar kaha krta tha Wallah yazeed ne aik
lakh dirham mujhe diye hain. Us ka ye salook
mujhe is baat se nhe rok sakta ke us ka haal
tum se na kahoon aur sach sach na bayan
kron. Wallah who sharab peeta hai. Aisa
mast ho jata hai ke namaz ka bhi hosh nhe
rehta
Tareekh Tabri Jild 4 page 253
Rawayat hai ke yazeed ganay bajane ke
aalaat, sharab noshi kerne, raag alapne,
shikar krne, ghulam aur londiyaan banana,
kuttay palne, maindhon aur reechhoon aur
bandroon ke larrane mein mash'hoor tha, her
subah ko wo makhmoor hota aur wo zaindar
gorray per bander ko zain se bandhta aur wo
ussay chalata aur Bandar ko sone ki topi
pehnata aur yehi haal ghulamoon ka tha.
Aur wo gorr dorr krata aur jab koi Bandar
mer jata to us per gham kerta.
Al.bidaya wan'nahaya Vol 8, Page 298
Yazeed ganay bajane aur kuttoon bandron
aur cheetoon ka dildada aur sharabnosh tha
aik roz wo shughal may'noshi ke liye baitha
to us ke baeen (left) janib ibn ziyad baitha
tha, aur ye hazrat Hussain ke qatal ke ba'd
ka waqia hai, wo apne saqi k pass a ker
kehne laga
"mujhe wo sharab pila jo meri narm narm
hadiyoun ko bhi sairab ker de, phir ibn ziyad
ko bhi aisa he jam bher de jo mere nazdeek
mera hamraz aur amen hai……………..
Phir us ne singers ko hukam diya ke wo un
ash'aar ko gaeen, pas unhoon ne gana shuru
ker diya, yazeed ke as'haab yazeed ki tarah
bad'kirdar thy aur us ke zamanay mein
Makkah aur Madina mein ganay ka dor dora
tha.khail kood ke aalat istamal hone lagy
aur logoon ne khullay bandoon sharaab
noshi shuru ker di, us ke pass aik Bandar tha
wo bhi mehfil may'noshi mein mojood hota
aur ussay takiya laga ker deta aur wo barra
khabees Bandar tha.
Tareekh E Masodi ,Vol 4, Page 98"
ur umer bin usman bin afaan radi Allah anho
ne habeeb bin karah ko bula bheja. Us waqt
marwan he woh shakhs tha jo in sab ka
sarkarda tha. Umer bin usman to aik kamsin
larka tha uski roy na thi. Yazeed ko khat
mila. Yazeed ne umroo bin saeed ko logoon
ko le kr us tarf jane ka hukam diya. Us ne
inkar jaisa jwab diya.
Tareekh Tabri jild 1 page 254
ﯾﺰﯾﺪ ﻧﮯ ﻣﺴﻠﻢ ﺑﻦ ﻋﻘﺒﮧ ﮐﻮ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﭘﺮ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﺮﻧﮯ ﮐﺎ
ﺣﮑﻢ ﺩﯾﺎ
Yazeed ne muslim ko Madina per hamla ka
hukam diya
Yazeed Ne Abdullah Ibne Ziyad Ko Madine
Per Charhai Karne Aur Makkah Mein
Abdullah Bin Zubair Ka Mahasra Karne Ka
Paigam Bheja Tu Us Ne Kaha Ke:"Khuda Ki
Qasam!! Mein Is Fasiq (Yazeed) Ke Liye Ibne
Rasool Ko Qatal (Jo Phele Kar chuka Hun)
Aur Ka'be Mein Larai Dono Ko Apne Liye
Jama Nahi KarunGa"
To Us Ne Mazrat Kardi.
{Ibne Aseer:4/45}
Yazeed ne muslim bin uqba se kaha ke
tumara bhala ho un logoon ke ba'd (jo
madina mein qaid hain) zindagi ka kiya
maza! Uttho aur logoon ko le kr rawana ho
aur apni khabar mujhe dete rehna. Gharz ye
elaan hua ke logo Hijaz (makkah aur madina
ke area ko hijaz kehte hain) ki taraf rawana
ho. Aao apna apna wazeefa pora pora le lo
isk alawa so so dinar her shakhs k hath mein
ba'tor e ehanat diye jaeengy. Gharz bara 12
hazar admi hijaz mein jane k liye uthh kharry
hoey. Aur ibn ziyad ko yazeed ne likha tha ke
tu ibn Zubair radi Allah anho se larrne ko
rawana ho, us (ibn ziyad) ne kaha k is
faasaq ke liye mein ye do do 2 2 gunah
apne sar na loonga. Aik to Rasoolallah
Sallallahu Alaihe Wasallam ke Nawasay ko
qatal kron dosra khana ka'ba per hamla
kron.
Phir ye lashkar Muslim bin uqba ki
sarkardagi mein yazeed ki taraf se rawana
hua.
Tareekh Tabri vol 4 page 255
Yazeed ne muslim bin uqba ki nigrani mein
shaami fauj ko Madina ki taraf bheja, Muslim
ne ahle Madina ko khaufzada kiya loota aur
qatal kiya aur wahan ke logoon ne is baat
per bait ki ke wo Yazeed ke ghulaam hain
aur us ne Madina ka naam (natna)
"badbu'dar" rakhha halanke Rasoolallah
Sallallahu Alaihe Wasallam ne is ka naam
taiyyeba (Pak saaf) rakhha.
Tareekhe Masodi Vol 3, Page 99.
ﯾﺰﯾﺪ ﮐﯽ ﻣﺴﻠﻢ ﺑﻦ ﻋﻘﺒﮧ ﮐﻮ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﭘﺮ ﺣﻤﻠﮧ ﮐﺮﻧﮯ
ﮐﯽ ﮨﺪﺍﯾﺎﺕ ﺍﻭﺭ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﮐﻮ ﺗﯿﻦ ﺩﻥ ﺗﮏ ﻣﺒﺎﺡ ﻗﺮﺍﺭ ﺩﯾﺎ
YAZEED KI MUSLIM BIN UQBA KO
INSTRUCTION:
Yazeed ne muslim bin uqba ko hukam diya
ke tum per kuch ban jaey to lashkar ka raees
hasain bin numair ko bana. Aur logoon ko 3
din tak mohlat dena. Maan jaeen to maan
jaeen warna un se qataal krna. Jab tum ko
ghalba ho jaey to 3 din tak madina ko
lootna. Wahan ka rupaiya aur hathiyar aur
ghala sab lashkar waloon ka hai. 3 din k
ba'd lootna band krna aur Ali Bin Hussain
radi Allah anho se rahayat (concession)
krna. Un ke sath naiki krna. Unko apne pass
baithana. Logoon ne jo mujh se mukhalifat ki
woh us mein shareek na the. Mere pass unka
khat aya tha.
Tareekh Tabri vol 4 page 256
Yazeed ne Muslim bin uqba se kaha ke (ahle
madina) ke logoon ko 3 bar dawat dena,
ager wo rajooh karain to un ki baat qabool
kerna aur un se baz rehna, basoorat e digger
Allah se madad talab kerna aur un se jung
kerna aur jab tu un per ghalib aa jaey to 3
roz tak madina ko mubah ker dena phir
logoon se baz rehna.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 279.
ﺍﮨﻞ ﻣﺪﯾﻨﮧ ﺍﻭﺭ ﻣﺴﻠﻢ ﺑﻦ ﻋﻘﺒﮧ ﯾﺰﯾﺪﯼ ﮐﯽ ﺟﻨﮓ
Ahle madina aur uqba ki jung
ﺣﺮﺍ ﮐﯽ ﺟﻨﮓ
Hirah ya hurrah ki jung
Muslim bin uqba ne apne sab logoon ko sath
le kr zameen sarah ki taraf harkat ki aur
koofa ki rah per pohanch kr apna sara parda
nasab kiya. Phir sawaron ka rasal bhej kr ibn
ghaseel (ahle madina) ke muqable mein
bheja. Ibn ghaseel ne apne as'haab ko sath
le kr sawaroon per hamla kiya.
Phir ahle shaam
(yazeedi fauj) ne ahle madina per hamla kia.
Aisi gumsaan ki jung hoi k us zamane mein
aisi kam he hoi hogi. Teeroon ka meena ahle
madina per barasna laga.(kitne sahaba e
karam yazeedion ke hathoon shaheed hoey)
Tareekh Tabri vol 4 page 260
Muslim bin uqba (aur uski army) madina ke
mashriq harah mein utter gia aur 3 roz tak
us ne wahan ke bashindoon ko dawat di.
Lakin sab ne jung ke siwa kisi baat ko
tasleem kerne se inkar ker diya.(3 din k ba'd
sulah kalam hoi lakin baat na bani).
Yazeediyoun aur ahle madina ke darmiyan
shadeed jung hoi. Phir ahle madina ne
shikast khai. Donoon taraf se bahut se sadat
wahiyan qatal hoey. Jin mein Hazrat
Abdullah bin mateeh aur un k 7 betay unki
ankhoon ke samne qatal hoey. Aur Hazrat
Abdullah bin hanzilatul naseel aur un ke
maa jaey bhai Muhammad bin sabit bin
shimaas aur Muhammad bin umroo bin
hazam qatal ho gaey. Jab wo bichhray
parray thy to marwan aap ke pass se guzra
aur kehne laga Allah aap per reham kray,
kitne he satoon hain jin ke pass mein ne aap
ko taweel qayyam o sajood kerte dekha hai.
Al.bidaya wan'nahaya vol 8, page 280.
Yazeedi fauj ke leader Abdullah bin mateeh
al'adadi aur Abdullah bin hanzla al'nasil
ansari thy. Is azeem jung mein bani hashim
aur deeger Quraish, ansaar aur doosry
logoon mein se beshumaar qatal hoey.
Aale abi talib mein se jo log maray gay un
mein Abdullah bin abi jaffar bin abi talib aur
jaffar bin Muhammad bin ali bin abi talib
thy. Aur aale abi talib ke alawa bani hashim
se fazal bin abbas bin rabia bin haris bin
abdul matlib, aur hamza bin Abdullah bin
nofal bin haris bin abdul matlib aur abbas
bin utba bin abi lahab bin abdul matlab
maray gaey. Aur digger Quraish se 90 se
ziyada admi aur itne he ansaar ke admi
maray gaey aur jo log shumaar mein nhe aa
sake un ko chhorr ker digger logoon mein se
4000 admi maray gaey. Aur logoon ne is per
bait ki ke wo yazeed ke ghulam hain aur jis
ne is baat ko man'ne se inkaar kiya us ne Ali
bin hussain Bin Ali aur Ali bin Abdullah bin
Abbas ke siwa talwar ki dhar per rakh lia.
Aur jung hura ya hira ke baray mein
Muhammad bin aslam kehta hai:
Ager tum ne hira ke roz hamain qatal kiya to
ham islam ki khatir qatal hone wale pehle
log hain ham ne tumain badr ke roz zaleel
ker chhorra tha aur ham apni talwaroon ko
is haal mein le ker lotay thy ke wo tumaray
khoon se badbudar ho gain thien.
TAREEKH E MASODI VOL 3, PAGE 100

No comments:

Post a Comment