“Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Jaz’a
RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain
Ki Mein Ne Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu
Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Se
Zyaada (Khubsurat) Muskuraane Waala Koi
Nahin Dekha.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ ﻭﺃﺣﻤﺪ . ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ
ﺣﺴﻦ.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/601, Raqam-3641,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/191,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 06/251,
Raqam-8047,
Maqdisi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 09/205,
Raqam-189,
Ibn Mubarak Az-Zuhad, 01/47, Raqam-145.]
“Hazrat Jarir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan
Karte Hain Ki Jab Se Me Daayra-E-Islam Me
Daakhil Huwa Us Waqt Se Huzoor Nabi-E-
Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Mujh Se Jab Bhi Parde Me Huwe Ya
Mujhe Dekha, Mere Saamne Zaroor
Muskuraaye. (Ya’ni Kisi Qisam Ka Koi Hijaab
Nahin Rakha, Jab Bhi Aap SallAllahu Ta’ala
Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Mujhe Dekhte To
Chehra-E-Anwar Tabassum Reyj Ho Jaata).”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 03/1104, Raqam-2871, &
05/2260, Raqam-5739,
Muslim As-Sahih, 04/1925, Raqam-2475,
Tirmidhi As-Sunan, 06/679, Raqam-3821,
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ .
Ibn Majah As-Sunan,01/56, Raqam-159,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/293,
Raqam-2219.]
“Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha
Riwayat Karti Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabi-
E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ko Kabhi Is Tarah Khul Kar (Ya’ni
Qahqaha Laga Kar) Hanste Nahin Dekha Ki
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ka Halaq Mubarak Bhi Dekh Leti, Aap
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Sirf Muskuraaya Karte They.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2261, Raqam-5741, &
04/1827, Raqam-4551,
Muslim As-Sahih, 02/616, Raqam-899,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/326,
Raqam-5098,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/97,
Raqam-251,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 06/66,
Raqam-24414, Hakim Al-
Mustadrak, 02/495, Raqam-3700.]
“Hazrat Bara’ Bin Aazib RadiyAllahu Ta’ala
Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-
Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Jab Bhi Do² Musalman Aapas Me Milte Hai
Aur Musafah Karte Hai To Alayheda Hone Se
Pahle Hee Un Ke Gunaah Bakhsh Diye Jaate
Hain.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ ﻭﺃﺑﻮﺩﺍﻭﺩ.
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ .
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/74, Raqam-2727,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/354,
Raqam-5211, 5212,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1220, Raqam-3703,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/289, 303,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 05/246,
Raqam-25717,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 07/99,
Raqam-13349,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 03/289,
Raqam-4110.]
“Hazrat Qatada RadiyAllahu Ta’ala Anhu
Riwayat Karte Hain Ki Unhone Hazra Anas
RadiyAllahu Ta’ala AnhuSe Arz Kiya :
Kya Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala
Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Sahaba Me
Musaafah Murawwij Tha ? Unhone Farmaya
Ha’n,”
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2311, Raqam-5908,
Ibn Hibban As-Sahih, 02/245, Raqam-492,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 05/252,
Raqam-2871,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 07/99,
Raqam-13346, &
As-Shuab-ul-Iman, 06/471, Raqam-8942,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 03/291,
Raqam-4121.]
“Hazrat Jarir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se
Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Kuchh Aurton Ke Paas Se Gujare To
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Unhein Salam Kiya.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/358,
Raqam-19367 : 03/363, Raqam-19426,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/118,
Raqam-3759,
Khatib Tabrizi Mishkat-ul-Masabih, 02/164,
Raqam-4647.]
“Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se
Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Jab Ahle Kitab Me Se Koi Tumhein Salam
Kahe To Tum Yoo’n Kaho :
﴿ ﻭَ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ ﴾
Aur Tum Par Bhi.”
–
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2309, Raqam-5903,
Muslim As-Sahih, 04/1705, Raqam-2163,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/99,
Raqam-11944,
Aboo Ya’la Al-Musnad, 05/295,
Raqam-2916,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 06/512,
Raqam-9102,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 03/292,
Raqam-4127.]
“Hazrat RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat
Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Bete !
Jab Ghar Me Daakhil Howo To Ghar Waalon
Ko Salam Kiya Karo, Yah Tumhaare Liye Aur
Tumhare Ahl-E-Khana Ke Liye Ba’is-E-
Barkat Hoga.”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ . ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ
ﺻﺤﻴﺢ.
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/59, Raqam-2698,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/123,
Raqam-5991, &
Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/102, Raqam-856,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,02/305,
Raqam-2409.]
“Hazrat Kalaada Bin Hambal RadiyAllahu
Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein
Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala
Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Kee Khidmat Me
Haazir Huwa.
Mein Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ke Paas Andar Daakhil Huwa Aur
Salam Na Kiya To Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Jaawo Aur Kaho :
﴿ ﺍﻟﺴَّﻠَﺎﻡُ ﻋَﻠَﻴْﻜُﻢْ ﴾
As-Salamu Alaykum, Kya Mein Daakhil Ho
Sakta Hoo’n ?”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ ﻭﺃﺑﻮﺩﺍﻭﺩ . ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ
ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ .
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/64, Raqam-2710,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/344,
Raqam-5176,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 04/169,
Raqam-6735 : 06/87, Raqam-10147,
Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/371,
Raqam-1081,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/414,
Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, 08/339,
Shaybani Al-Ahad Wal-Mathani, 02/96,
Raqam-794.]
“Hazrat Oosama RadiyAllahu Ta’ala Anhu
Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-
Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Aik Aysi Majlis Ke Paas Se Gujare Jis
Me Musalman, Mushrik, But Parast Aur
Yahoodi Sabhi Jama’ They To Huzoor Nabi-
E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi
Wa Sallam Ne Unhein Salam Kiya.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2307, Raqam-5899, &
04/1663, Raqam-4290, &
05/2143, Raqam-5339, &
05/2292, Raqam-5854,
Muslim As-Sahih, 03/1422, Raqam-1798,
Tirmidhi As-Sunan, 05/61, Raqam-2702,
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ ،
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 04/356,
Raqam-7502,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 05/203,
Raqam-21815.]
“Hazrat Aboo Umama RadiyAllahu Ta’ala
Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Logon Me Se Allah Ta’ala Ke Zyaada Qareeb
Woh Shakhs Hai Jo Logon Ko Salam Karne
Me Pahel Kare.”
–
[Aboo Dawood As-Sunan, 04/351,
Raqam-5197,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 06/433,
Raqam-8787,
Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,03/286,
Raqam-4094.]
Hazrat Jaabir Bin Sulaym RadiyAllahu Ta’ala
Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Huzoor
Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Aalehi Wa Sallam Kee Khidmat Me Haazir
Huwa Aur Arz Kiya :
Alayka As-Salam Ya RasoolAllah ﷺ !
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Alayka As-Salam Na Kaho, Yah Murdon Ka
SalamHai (Balki As-Salamu Alaikum Kaha
Karo).”
ﺭﻭﺍﻩ ﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ ﻭﺍﺑﻮﺩ ﻭﺍﻟﻠﻔﻆ ﻟﻪ.
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ .
–
[Tirmidhi As-Sunan, 05/71, Raqam-2721,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/353,
Raqam-5209,
Nasa’i As-Sunan-ul-Kubra, 06/87,
Raqam-10149,
Hakim Al-Mustadrak, 04/206, Raqam-7382,
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ .
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/482,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 05/166,
Raqam-24822.]
“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala
Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Tum Jannat Me Us Waqt Tak Daakhil Nahin
Honge Jab Tak tum Imaan Na Laawo Aur
Tum Us Waqt Tak Momin Nahin Ho Sakte
Jab Tak Tum Aik Dusare Se Muhabbat Na
Karo.
Kya Mein Tumhein Aik Aisi Chiz Na
Bataaun ?
Jis Par Tum Amal Karo To Aik Dusare Se
Muhabbat Karne Lago ?
(Aur Woh Amal Yah Hai Ki) Apne Darmiyan
Salam Ko Phailaya Karo (Ya’ni Kasrat Se Aik
Dusare Ko Salam Kiya Karo).”
ﺭﻭﺍﻩ ﻣﺴﻠﻢ ﻭﺍﻟﺘﺮﻣﺬﻱ.
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮ ﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ .
–
[Muslim As-Sahih, 01/74, Raqam-54,
Tirmidhi As-Sunan, 05/52, Raqam-2688,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/350,
Raqam-5193,
Ibn Majah As-Sunan, 01/26, Raqam-68, &
02/1217, Raqam-3692,
Ibn Hibban As-Sahih, 01/47, Raqam-236,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/512,
Raqam-10658,
Aboo Awanah Al-Musnad, 01/38, Raqam-83,
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 05/248,
Raqam-25742,
Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 06/423,
Raqam-8745,
Ibn Munadah Al-Iman, 01/463, Raqam-330.]
“Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala
Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya : Sawaar Paydal Chalne
Waale Ko Salaam Kare, Paydal Chalne Waala
Baythey Huwe Ko Salam Kare, Aur Thode
Aadami Zyada Ta’dad Waalon Ko Salam
Kare.”
Aur Imam Bukhari Ki Aik Aur Riwayat Me Yah
Alfaz Bhi Hain, “Chhota Bade Ko Salam
Kare.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 05/2301, Raqam-5877,
5878, &
15/2302, Raqam-5879, 5880,
Muslim As-Sahih, 04/1703, Raqam-2160,
Tirmidhi As-Sunan, 05/61, 62, Raqam-2703,
2705,
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ .
Aboo Dawood As-Sunan, 04/351,
Raqam-5198, 5199,
Ibn Hibban As-Sahih, 02/251, Raqam-498,
Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 02/325,
Raqam-8295.]
“Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu
Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ki Aik
Aadami Ne Sawaal Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ !
Sab Se behtar Islam (Me Amal) Kya Hai ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
(Behtar Islam Yah Hai Ki) Tum (Dusaron Ko)
Khaana Khilaawo Aur (Har Aik Ko) Salam
Karo, Khwaah Tum Use Jaante Ho Ya Nahin
Jaante.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 01/13, Raqam-12, &
01/19, Raqam-28, &
05/2302, Raqam-5882,
Muslim As-Sahih, 01/65, Raqam-39,
Aboo Dawood As-Sunan, 04/350,
Raqam-5194,
Nasa’i As-Sunan, 08/107, Raqam-5000,
Ibn Majah As-Sunan, 02/1083,
Raqam-3253.]
“Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha
Bayan Karti Hain Ki Mujhe Huzoor Nabi-E-
Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa
Sallam Ne Farmaya :
Aye Aaisha !
Yah jibra’il Tumhein Salam Kahte Hain.
Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha
Farmati Hai Ki Mein Ne Arz Kiya :
Aur Tum Par Bhi Salam Ho Aur Allah Ta’ala
Kee Rahmat Aur Barkatein Naazil Ho’n.”
Muttafaque Alayh
–
[Bukhari As-Sahih, 03/1177, Raqam-3045, &
03/1373, Raqam-3557, &
05/2291, Raqam-5948, &
05/2306, Raqam-5895, &
05/2307, Raqam-5898,
Muslim As-Sahih, 04/1895, Raqam-2447,
Tirmidhi As-Sunan, 05/705, Raqam-3882,
ﻭﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮﻋﻴﺴﻰ : ﻫﺬﺍ ﺣﺪﻳﺚ ﺣﺴﻦ .
Aboo Dawood As-Sunan, 04/359,
Raqam-5232,
Nasa’i As-Sunan, 07/69, Raqam-3953,
Ibn Hibban As-Sahih, 16/11, Raqam-7098,
Darimi As-Sunan, 02/359, Raqam-2638.]
Tuesday, 26 May 2015
DALEEL 3
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment