A.C.W ONE
CHAPTER-1 (LESSON-1/SEC-A) •NABI SEH MOHABBAT (L-1/S-A)
(Quran parah-108 , ayat-1) "Ay mahboob be shak hum neh tum be shumar khubiya ata farmai hai" ap is ayat yeh toh samaj gaye honge ki allah azjawajal apne mahboob ko be shumar kubiyo seh nawaaza hai . To nabi s.a.w ko allah azjawajal neh tamaam aalam ke liye rahmat banakar bheja hai or nabi ki har waqt paaki bolo or nabi s.a.w ka zikr ko buland karo (Quran parah-94 , ayat-4) "aur hum neh tumhare tumhara zikr buland kardiya" toh nabi s.a.w ka zikr buland karo or yaha taq ki allah azjawajal nabi ke liye nabi zikr buland kardiya hai to hum toh unhi ke bande kyu na nabi ka zikr buland ho. (Quran parah-94 , ayat-1) "kya hum neh tumhare liye seena kushada na kiya" yaha allah azjawajal nabi s.a.w ki "seena mubarrak" ki tareef kar rahe hai nalat hai hum per hum kuch gumraho ke chakkar meh nabi s.a.w ki tareef karna hi bhul jate hai or yaha mera rab yaha nabi s.a.w ki tareef kar rahe hai hum kayse bande hai khuda ke jiski tareef khud khuda kar raha hai us ki tareef hum nahi kar rahe hai. Toh bayhal nabi s.a.w seh itni mohabbat kare ki apne ap ko hi bhul jaye or nabi ki hadith hai ki "tum meh us waqt tak koi bhi mumin nahi bansakta jab taq woh apne maa, baap, awlad or biwi seh ziyada mujhseh mohabbat na karle.
Saturday, 13 June 2015
BOOK OF A.C.W ONE
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment